Mukashifatul quloob*
Musalman ke liye ye jayez nahi hai ke woh apne bhai se 3 din se zyadah qata’a talluq kare
Hazrat Abu Ayyub Ansari radi Allahu anhu se marwi hai Rasool ﷺ ne farmaya kisi musalman ke liye ye jayez nahi hai ke woh apne bhai se 3 din se zyadah qata’a talluq kare, dono ek dusre ke saamne aaen, ye idhar muh pher kar guzar jaye aur woh udhar se muh phere chala jaye. Inn mein se behtar woh hai jo salaam karne mein pahel kare. Farman e Nabawi ﷺ hai jisne kisi musalman bhai ko uski laghzish ke sabab chordiya Allah tala usey qayamat mein chordega. Akarma se marwi hai Allah tala ne Yousuf alaihis salam se farmaya, bhaiyon se tere aafu o darguzar ki wajah se mai ne do alam mein tera zikr buland kardiya hai.
Hazrat e Ayesha radi Allahu anha se marwi hai Huzoor ﷺ ne apni zaat ki khatir kabhi kisi se inteqaam nahi liya, haan jab hudood Allah ki baat hui thi tow Aap ﷺ Allah ki raza joi ki khatir badla liya karte the. Hazrat e Ibn e Abbas radi Allah anhuma ka qowl hai, koi shakhs kisi galti se darguzar nahi karta magar uske badle mein Allah tala uski izzat buland karta hai(yani jo shakhs kisi galti se darguzar karta hai, Allah tala uski izzat buland karta hai) farman e Nabawi ﷺ hai ke sadqe se maal kum nahi hota, aafu o darguzar se, Allah tala insaan ki izzat badhata hai aur jo shakhs Allah ki khushnudi ke liye tawaze karta hai Allah tala usey buland martaba ata farmata hai.