Mukashifatul quloob*
Huqooq Al Ibadah mein ye baat bhi dakhil hai ke…….
Hazrat Ibn Abi Awfa radi Allah anhu se marwi hai ke Huzoor ﷺ har musalman se tawaze se pesh aate aur bewah aur miskeen ke saath chal kar inki hajat rawai karne mein aar mehsoos na farmate aur na takabbur se kaam lete. Huqooq Al Ibadah mein ye baat bhi dakhil hai ke logaon ki baatein ek dusre ko na batai jaaen aur kisi ki baat sunkar kisi dusre ko na sunai jae. Farman e Nawabi ﷺ hai ke chulghal khor jannat mein nahi jayega.
Khaleel bin Ahmed radi Allah anhu ka qowl hai jo tere saamne dusre logow ki chughliyan khata hai woh teri chugliyan dusre logow ke saamne khata hoga aur jo tujhe dusre logow ki baatein batata hai woh teri baatein dusre logow ko batata hoga. Ek haq ye bhi hai ke gusse ki halat mein apne kisi janne wale se 3 din se zyadah tark e talluq na kare.