Mukashifatul quloob*SOOD KHORAON” KE PETAON MAIN CHALTE PHIRTE SAANP NAZAR AARAHE THEI…..
Ahmed ne ek taweel hadees mein, Ibn e Majah ne muqtasaran aur asbahani ne iss hadees ko bayan kiya hai ke Huzoor ﷺ ne farmaya ke jab mujhe Meraj mein saer karai gayi aur hum saathwein asman par pohanche tow mai ne upar dekha tow mujhe bijli ki kadak aur garaj chamak nazar ayi, phir mai ne aisi qowm ko dekha jinke pet makano ki tarha the aur bahar se inke petow mein chalte phirte saanp nazar arahe the, mai ne pucha Jibrael! Ye kon hain? Inhone jawab diya ke ye sood khor hain.
Asbahani ne Hazrat Abu Saeed Al Khudri radi Allah anhu se riwayat ki hai ke Huzoor ﷺ ne farmaya ke jab mujhe asmano ki taraf meraj karayi gayi tow mai ne asman dunya mein aise admiyon ko dekha jinke pet bade bade ghado’n jaise the inke pet jhuke hue the aur woh firaun ke paerokarow ke raastow mein pade hue the aur woh har subah o shaam jahannam ke kinaare khade hua karte the, Aye Allah! Qayamat kabhi qaem na karna, mai ne pucha Jibrael! Ye kon hai? Jibrael ne arz ki ke ye Ap ﷺ ki ummat ke sood khor hain. Woh nahi khade honge magar jaise woh shakhs khada hota hai jise shaitan aaseb se baola kardeta hai.