Mukashifatul quloob*
*Riyazat o Khawheshat nafsani*
_*Musa Alaihis Salam ko darood padhne ka hukm*_
Allah tala ne Hazrat Musa Alaihis Salam par wahi nazil farmai ke “Aye Musa! Agar tum chahte ho k mai tumhari zaban par tumhare kalam se, tumhare dil mein khayalat se, tumhare badan mein tumhari rooh se, tumhari ankhow mein noor basarat se aur tumhare kano mein quwwat sama’at se zyada khareeb rahun tow phir Muhammed ﷺ par kasrat se darood bhejo
*الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ-*
Farman e Ilahi hai :-
*وَلْتَنظُرْ نَفْسٌۭ مَّا قَدَّمَتْ لِغَدٍۢ*
*Har nafs ye dekhe ke usne qayamat k liye kya amal kiye hain*
[Surah Al Hashr, 59:18]
Aye insaan! Achi tarah samajhle ke tujhe burai ki taraf lejane wala tera nafs tere shaitan se bhi bada dushman hai aur shaitan ko tujh par teri khawheshat ki badowlat galba hasil hota hai. Lehaza tujhe tera nafs jhooti umeedow aur dhoke mein dale hai jo shaks bekhof hua aur gaglat mein giraftar hua, apne nafs ki paervi karta hai, iss insaan ka har dawah jhoota hai, agar tow nafs ki raza mein iski khawheshat ki itba karega tow halak ho jayega aur agar uske muhasebah se ghafil hoga tow bahr e siyan mein garq hojayega.
Agar tow uski mukalifat se ajiz akar uski khawheshat ki paervi karega tow ye tujhe nar jahannam ki taraf khenchle jayega. Nafs ki baaz gasht bhalai ki taraf nahi hai balke ye masaib ki jad, sharmindagi ki kaan, iblees ka khazana aur har burai ka thikana hai aur uski fitnah angezow ko siwaye alam e khair o shar ke yani Allah tala ke siwa koi nahi janta.
Farman e Ilahi hai :-
*وَٱتَّقُوا۟ ٱللَّهَ ۚ إِنَّ ٱللَّهَ خَبِيرٌۢ بِمَا تَعْمَلُونَ*
*”Aur Allah se daro, beshak Allah tumhare amaal se bakhabar hai”*
[Surah Al Hashr, 59:18]
Tafseer Abi Al Aes rahmatullah alay mein hai, jab koi banda talab akhirat ki wajah se apni guzishta zindagi par gowrr o fikr karta hai tow ye tafakkur uske dil ke liye ghusl ka kaam deta hai.
*Hadees :-*
Farman e Nabawi hai, ek ghadi ka tafakkur saal bhar ki ibadat se behtar hai. Lehaza har aqalmand ke liye zaruri hai ke apne guzishta gunnaho ki magfirat talab kare, jin cheezon ka iqrar karta hai inn mein tafakkur kare aur qayamat ke din ke liye tow shay banaye, umeedow ko kum kare, towba mein jaldi kare, Allah ka zikr karta rahe, haram cheezon se eraz kare aur nafs ko sabr par amadah kare, khawheshat nafsani ki itba na kare kyunke nafs ek buth ki tarah hai jo nafs ki itba karta hai vo goya buth ki ibadat karta hai aur jo ikhlaas se Allah ki ibadat karta hai, vo apne nafs par jabar karta hai.