*Mukashifatul quloob*
*Mareez bande momin ke gunnah nahi likhe jate*
*Hadees :-*
Hazrat Muaz bin Jabal Radi Allahu Anhu se marvi hai jab banda momin kisi bimaari mein mubtela hojata hai tow uske bayein shaane wale farishte se kaha jata hai ke uske gunnahow ko likhna band kardo, daein shaane wale farishte se kaha jata hai uske naam e amaal mein vo behtareen nekiyan likho jo usse sarzad hui hain.
*Hadees :-*
Marvi hai ke jab koi banda bimaar hojata hai tow Allah tala uski taraf do farishte bhejta hai ke jakar dekho mera banda kya kehta hai? Agar bimaar alhamdulillah kehta hai tow farishte Allah ki bargah mein jakar uska qowl arz karte hain, irshad e ilahi hota hai agar mai ne iss bande ko iss bimari mein mout dedi tow isse jannat mein dakhil karunga aur agar sehat ata ki tow usey pehle se bhi behtar parvarish karne wala gosht aur khoon dunga aur iske gunnahow ko maaf kardunga.