Ek aurat Hazrat Hasan Basri رحمة الله عليه ke pas hazir hui aur kehne lagi
Ek aurat Hazrat Hasan Basri رحمة الله عليه ke pas hazir hui aur kehne lagi, meri jawan beti faut hogayi, mai chahti hun ke ise khawab mein dekhun, koi aisi dua bataein jis se meri murad puri hojaye, ap ne ise ek dua sikhai, uss aurat ne raat mein vo dua padhi aur apni beti ko khawab mein dekha toh uska haal ye tha k usne jahannum ka tarkol ka libaas pehen rakha tha, uske haatow mein zanjeerein thi aur paow mein beydiyan thi. Aurat ne dusre din ye khawab aap ko sunaya, ap bahot magmoom hue kuch arse baad Hazrat Hasan رحمة الله عليه ne uss ladki ko jannat mein dekha, uske sar par taaj tha, vo ap se kehne lagi ap mujhe pehchante hain, mai usi khatoon ki beti hun jo apke pas ayi thi aur meri tabah halat apko batlai thi. Ap ne usse pucha teri halat mein ye inqilaab kis tarah aya? Ladki ne kaha qabrastan ke qareeb se ek saleh shaks guzra aur usne Huzoor ﷺ par darood bheja, uske darood padhne ki barkat se Allah tala ne hum panch sow qabar walo se azaab uthaliya.
[Mukashifatul Quloob]