Mukashifatul quloob*
Darguzar ko apnaiye, neki ka hukm kijiye….
Rabia bin Khasim radi Allah anhu ka qowl hai ke logow ki do qismein hain :-
Agar tera mukhatib momin hai tow usey izza na de aur agar jahel hai tow uski jahalat mein na pado aur bande par musalman ka ye bhi haq hai ke woh har musalman se tawaze se pesh aye aur takabbur se pesh na aye kyunke Allah tala har itrane wale mutakabbir ko napasand farmata hai.
Farman e Nabawi ﷺ, Allah tala ne mujhe wahi farmai hai ke tum tawaze karo aur ek dusre par fakhr o takabbur na karo, agar koi dusra tum se takabbur se pesh aye tow bardasht karo chunache Allah tala ne apne Nabi ﷺ se irshad farmaya hai :-
خُذِ الْعَفْوَ وَأمُرْ بِالْمَعْرُوْفِ وَاَعْرِضْ عَنِ الْجَاهليَنَ
Darguzar ko apnaiye, neki ka hukm kijiye aur jahilo’n se muh pher lijiye