Mukashifatul quloob*
Ibadat guzari o Tark e Haram :-
Taa’at ke mayene farayez ki adaegi, haram cheezon se parhez aur hudood e shar’a par kaarband hona hai, Hazrat e Mujahid rahmatullah alay, farman e Ilahi
وَلَا تَنسَ نَصِيبَكَ مِنَ ٱلدُّنْيَا
[Surah Al Qasas, 77]
ke mutalliq kehte hain ke iska matlab hai ke bandah Allah tala ki ibadat o ita’at karta rahe.
Taa’at ki haqiqat :-
Taa’at ki haqiqat Allah tala ki ma’arifat, Khof e Khuda, Allah tala se umeed aur hamawaqt Allah tala ki taraf ruju hona hai, woh bandah jo inn awsaaf se khali hota hai woh imaan ki haqiqat ko nahi paasakta lehaza ita’at iss waqt tak sahi nahi hoti jab tak ke bandah Allah ki Ma’arifat aur be misal, be misaal qadir o khaliq Rab e Zuljalal ki tamam sifatow par imaan nahi lata.
Ek badowi ne Hazrat Muhammed bin Ali bin Hussain razi Allah anhum se arz ki ke tum ne Allah ko dekha hai? Iski ibadat karte ho? Ap ne farmaya haan dekh kar ibadat karta hun, pucha wo kaise? Ap ne farmaya woh ankhow ke noor se nahi dil ke adraak se dekha jata hai, usey hawaas nahi pasakte, woh apni la teda’ad nishaniyon se pehchana jata hai, be andazah awsaaf se mowsoof hai woh kisi par zulm nahi karta, woh asman o zameen ka malik hai aur iske siwa koi mabood nahi hai, badowi besakhta keh utha Allah janta hai ke isey kis gharane mein apna Rasool bhejna hai.