Mukashifatul quloob*
*Hazrat e Isa alaihis salam ka ek waqiya:-*
Marwi hai ke Hazrat e Isa alaihis salam baithe hue the aur ek budha phaowde se zameen khod raha tha, Ap ne Allah tala se dua mangi Aye Allah iss se zindagi ki umeed cheen le, budhe ne phaowda rakhdiya aur leyt gaya, jab kuch derr guzargayi tow Ap ne Allah tala se dua ki ke usey uski umeedein lauta de budha khada hogaya aur phaowde se zameen khodne laga tow Ap ne uska sabab pucha toh woh kehne laga, kaam karte hue mere dil mein khayal aya ke mai ab budha hogaya hun, kab tak ye kaam karta rahunga lehaza mai ne phaowda rakhdiya aur leyt gaya, kuch derr baad mere dil mein khayal aya tujhe zindagi guzar ne ke liye zaroor kuch na kuch karna chahiye chunache mai phaowda sanbhal kar phir khada hogaya aur kaam karne laga.
golden words