Mukashifatul quloob
*Jab musafir musafirat mein inteqal karta hai*
Jab kisi musafir par naza’a ka alam taari hota hai tow Allah tala farishtow se farmata hai ye bechara musafir hai, apne ahl o ayal aur walidein wagaira chod chuka hai jab ye marega tow uss par koi tasuf karne wala bhi na hoga. Allah tala farishtow ko uske walidein, aulad aur khuwesh o aqarib ki shakal mein bhejta hai aur usi masrat mein uski rooh parwaz kar jati hai phir vo farishte pareshan haal hokar uske janazah ke piche piche chalte hain aur qayamat tak uski magfirat ki dua karte rehte hain, farman e ilahi hai:-
*ٱللَّهُ لَطِيفٌۢ بِعِبَادِهِ*
*Allah apne bandow par meherban hai*
[Surah Ash-Shura, 42:19]
Ibne Ata Rahmatullah alay kehte hain insaan ka sadq o kazab uski musibat aur shadmani ke waqt zahir hota hai, jo shaks shadmani o khush hali mein tow Allah tala ka shukar ada karta hai magar masaib mein faryad o fagan karta hai vo chota hai agar kisi ko do alam ka ilm ata kardiya jaye, phir ispar masaib ki yalgar ho aur vo shikwa o shikayat karne lage tow usey uska ye ilm o amal koi faida nahi dega (ye ilm bekar hai).
*Hadees :-*
Hadees qudsi hai, Allah tala irshad farmata hai jo meri qaza par razi nahi, meri ata par shukar nahi karta vo mere siwa koi aur rab talash kare.
*Hikayat :-*
Wahab bin Manba kehte hain Allah ke ek nabi ne pachas baras Allah ki ibadat ki tab Allah tala ne uss nabi ki taraf ye wahi farmai ke mai ne tujhe baksh diya hai, nabi ne arz kiya Aye Allah maine tow koi gunnah hi nahi kiya baksha kis cheez ko gaya? Allah tala ne unki ek rug ko bandh kardiya jis ki wajah se vo saari raat na soo sake subha ko jab unke pas farishta aya tow unho ne rug band hojane ki shikayat ki, tab farishta bola Allah tala farmata hai teri ye ek shikayat afzoo hai (Iss ibadat par tu nazan tha?).