*Mukashifatul quloob*
*Hazrat Zakariya Alaihis Salam ko uff karne ki mumaniyat*
Kehte hain ke jab aari Hazrat Zakariya Alaihis Salam ke dimagh tak pohanchi tow ap ne aah ki, Irshad e Ilahi hua _*”Aye Zakariya masaib par pehle sabr kyun nahi kiya?! jawab fariyad karte ho agar dobarah aah muh se nikli tow daftar sabireen se tumhara naam kharij kardiya jayega”*_ tab Hazrat ne apne hontow ko bandh karliya chir kar do tukde hogaye magar phir uff tak na ki.
Isliye har aqalmand ke liye zaroori hai ke vo masaib par sabr kare aur harf shikwa zaban par na laye taa’ke dunya aur akhirat ke azaab se nijaat hasil karle kyunke iss dunya mein masaib, Ambiya Alaihis Salam aur Awliya Allah hi par zyada vaarid hote hain.