* Mukashifatul quloob*
*Ek Ibratangez Hikayat*
Bani Israel mein ek nihayat hi fajir o fasiq insaan tha jo apni badkariyow se kabhi baz na ata tha ahle shaher jab iski badkariyow se ajiz agaye tow Allah tala se uske shar se mahfooz rehne ki dua mangne lage, Allah tala ne Hazrat Musa Alaihis Salam ki taraf wahi ki ke Bani Israel ke falan shaher mein ek badkar jawan rehta hai usey shaher se nikal dijiye taake uski badkariyow ki wajah se saare shaher par aag na barse. Hazrat Musa Alaihis Salam wahan tashreef legaye aur usey uss basti se nikal diya phir farman e ilahi hua ke usey uss basti se b nikal dijiye jab Hazrat Musa Alaihis Salam ne uss ko uss basti se bhi nikal diya tow usne ek aise gaar par thikana banaya jahan na koi insaan tha aur na hi kisi charind parind ka guzar tha, qurb o jawar mein na kahin abadi thi aur na durr durr tak sabze ka koi pata tha iss gaar mein aakar vo jawan bimaar hogaya kisi timardari ke liye koi shaks bhi iske aas pass na mowjood na tha jo iski khidmat karta vo za’af o natawani se zameen par gir pada aur kehne laga kash iss waqt meri maa mere pas mowjood hoti tow mujh par shafaqat karti aur meri iss bekasi aur bebasi par roti agar mera baap hota tow meri nigehbani, nighadasht aur madad karta, meri biwi hoti tow meri judai par roti agar mere bache iss waqt mowjood hote tow kehte aye rab! Humare ajiz, gunnahgar, badkar aur musafir baap ko baksh de. Jaise pehle tow shehar badar kiya gaya aur dusri basti se bhi nikal diya gaya aur ab vo gaar mein bhi har ek cheez se naumeed ho kar dunya se akhirat ki taraf chala hai aur vo mere janaze ke piche rote hue chalte.
Phir wo nowjawan shaks kehne laga Aye Allah! Tu ne mujhe walidein aur biwi bachow se tow durr kiya hai magar apne fazl o karam se durr na karna, tune mera dil azizow ki judai mein jalaya hai. Ab mere sarapa ko mere gunnahow ke sabab jahannam ki aag mein na jalana usi dum Allah tala ne ek farishta uss ke baap ke hum shakal banakar, ek hoor ko uski maa aur ek hoor ko uski biwi ki humshakal banakar aur ghulamane jannat ko uss ke bachow ke roop mein bhejdiya. Ye sab iske khareeb aakar baithgaye aur uski shiddat takleef par tasuf aur ahzari karne lage. Jawan inhe dekhkar bahot khush hua aur isi masrat mein uska inteqal hogaya tab Allah tala ne Hazrat Musa Alaihis Salam ki taraf wahi ki ke falan gaar ki taraf jao wahan humara ek dost margaya hai, tum uski takfeen o tadfeen ka intezam karo.
Hukm e ilahi ke bamowjib Hazrat Musa Alaihis Salam jab gaar mein pohanche tow inhone wahan usi jawan ko mara hua paya jisko inhone pehle shehar aur phir bastu se nikala tha, iske gird hoorein taziyat karne walo ki tarah baithi hui thi. Musa Alaihis Salam ne bargah e Ilahi mein arz ki Ya Rabbul Izzat ye tow wahi jawan hai jise mai ne tere hukm se shehar aur basti se nikal diya tha. Rabbul Izzat ne farmaya Aye Musa mai ne iske bahot zyada rone aur azizow ke firaq mein tadap ne ki wajah se ispar rahem kiya hai aur farishte ko uske baap ki aur hoor o ghulman ko uski maa, biwi aur bachow ke hum shakal banakar bheja hai jo ghurbat mein uski taklifow par rote hain, jab ye mara tow uski bechargi par zameen o asman wale roye aur mai Arhamar Rahimeen phir kyun na uske gunnahow ko maaf karta.