Mukashifatul quloob

Allah tala ne Quraysh ke inn nowjawano ko andha kardiya aur Nabi e Kareem ﷺ Quraysh ke jiyalow par matti dalte hue, ye ayat tilawat karte hue bahar nikal gaye:
فَأَغْشَيْنَـٰهُمْ فَهُمْ لَا يُبْصِرُونَ
[Surah Yaseen, 09]
Iss haal mein ek shaks wahan aya aur isne inn logow se pucha yahan kya karrahe ho? Inhone kaha hum Mohammed ﷺ ke muntazir hain, isne kaha khuda ki qasam woh tumhare sarrow par matti dalte hue nikal gaye hain aur Allah tala ne tumhein zaleel o ruswa kiya hai, ab tum yahan khade kya karrahe ho? Ab jo inhone apne sarrow ko haath lagaya tow sab ke sarrow mein matti padi hui thi aur woh Hazrat Ali radi Allah tala anhu ko Huzoor ﷺ ki chaddar odhe sota dekhkar ek dusre se yehi kehte rahe ke khuda ki qasam ye Mohammed ﷺ so rahe hain, yahan tak ke subha hogayi aur Hazrat Ali radi Allah tala anhu bistar se uthe, inko dekh kar ye log bahot sharmindah hue aur kehne lage uss shaks ne waqai sach kaha tha, usi waqiya par ye ayat nazil hui. [Mukashifatul quloob]
وَإِذْ يَمْكُرُ بِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ لِيُثْبِتُوكَ أَوْ يَقْتُلُوكَ
May You Like: 24 Pcs Muslim Hijab Scarves for Women with Under Scarf Cap Chiffon Shawl Islamic Caps with Tie Back Closure
[Surah Al Anfal, 30]
Aur jab kuffar e makkah Ap ﷺ ke saath fareb karrahe the ke woh Ap ﷺ ko sakht zakhmi ya qatal kardein. (Ashaar)]
☆ Ghabraow nahi, har mushkil ke baad asani hoti hai aur har cheez ek waqt e muqarrar tak rehti hai.
☆ Muqaddar hum se zyadah bakhabar hai aur humari tadbirow par Allah ki tadbeer ghalib rehti hai.
Hazrat Ibne Abbas radi Allah tala anhuma ne farman e Bari
وَقُل رَّبِّ أَدْخِلْنِى مُدْخَلَ صِدْقٍۢ وَأَخْرِجْنِى مُخْرَجَ صِدْقٍۢ وَٱجْعَل لِّى مِن لَّدُنكَ سُلْطَـٰنًۭا نَّصِيرًۭا
[Surah Al Isra, 80]
(aur yun arz karo ke aye mere rab mujhe sachi tarah dakhil kar aur sachi tarah bahir leja aur mujhe apni taraf se madadgar ghalba de. Bani Israel pa 15) ki tafseer mein farmaya hai ke iss ayat mein Allah tala ne Nabi e Kareem ﷺ ko hijrat ki ijazat marhamat farmai aur Hazrat e Jibrael ne Ap ﷺ se kaha ke Ap ﷺ Hazrat e Abu Bakar Siddiq radi Allah tala anhu ko apni hijrat ka saathi muntakhib karein.
Haakim ki riwayat hai, Hazrat Ali radi Allah tala anhu kehte hain ke Huzoor ﷺ ne Hazrat Jibrael se pucha mere saath kon hijrat kare tow inhone kaha Hazrat Abu Bakar Siddiq radi Allah tala anhu Huzoor ﷺ ne Hazrat Ali radi Allah tala anhu ko hijrat ke mutalliq batlaya aur farmaya mere baad yahin rehna aur logow ki amanatein wapis karke aana.
*Mukashifatul quloob* *Zina aur Sood ka aam hojana Azab e Ilahi ko dawat deta hai :-*