Dar ul Nadwah mein Shaitan ka Quraysh ko Mashwerah :-

Ibn Ishaq rahmatullah alay ki riwayat hai ke jab Quraysh e Makkah ne Huzoor ﷺ ke sahaba ikraam rizwan Allah alaihim ko hijrat karte aur muttaidid qabael ke logow ko musalman hote dekha tow inhe ye qatra lahaq hua ke kahin Huzoor ﷺ bhi hijrat na kar jaein aur wahan ek zabardast jamaat apni himayat mein tayyar karke humein shikast na dedein chunache ye log Dar ul Nadwah mein jama hue, Dar ul Nadwah Qasi bin Kalab ka makaan tha ye Dar ul Nadwah isliye kehlata tha ke yahan Quraysh apne tamam ahem amwar sar anjaam dete aur mansoobe tayyar karte the, iss Dar ul Nadwah mein 40 saala Qurayshi ke alawah koi aur shaks ya kum umar Qurayshi dakhil na hosakta tha.[ Mukashifatul Quloob]
Ye sab log Abu Jahal ke saath hafte ke roz jama hue isliye hafte ko dhoke aur fareb ka din kaha jata hai, inn logow ke saath iblees bhi shareek e mushawerat hota tha, iss mal’oon ke shamil hone ka waqiya yun hai ke jab Quraysh e Makkah Dar ul Nadwah ke darwaze par pohanchte tow inhone dekha ke ek baweqaar budha khurdura sa kambal odey khada hai. Ek riwayat ye hai ke tilsman ki reshmi chadar odey hue tha, inhone pucha ap kon hai? Kehne laga mai shaykh e najdi hun, tum ne jo iradah kiya hai mai ne woh sunliya hai aur mai isliye aya ke tumhari guftagu sunu aur mashware aur nasihatein karun. Chunache ye sab log andar dakhil hogaye aur bahum mashwarah hone laga. Ek riwayat hai ke sau(100) admi the aur dusri riwayat mein hai ke pandrah admi the. Abu Al Bakhtari (jo ghazwa e badr ke din mara gaya) ne mashwarah diya Mohammad ﷺ ko lohe ke ek qile mein band kardo aur iss waqt ka intezar karo jab inn ka anjaam bhi pehle shura jaisa hojaye. Shaykh najdi ne kaha ye baat galat hai, bakhuda agar tum unhe aahni darwaze ke piche bhi bandh kardo tow woh wahan se nikal kar apne ashab ke hann pohanch jayenge.
Abu Al Aswad Rabia bin Umar Wal Amari ne raye di ke Muhammad ﷺ ko jala watan kardo, ye jahan bhi jaye humein koi parwah nahi, bas humare shehrow mein na rahe, shaykh najdi ne iss raye ko mustarad karte hue kaha kya tum ne Mohammad ﷺ ki achi baatein shirin bayani aur logow ka inn par parwanawar nisaar hona nahi dekha? Agar tum inko jala watan karke mutmaeen hogaye tow ye tumhari sab se badi galati hogi, woh kisi aur qabile mein chale jayenge aur apni sehar al bayani se logow ko apna farefta banalega aur apne motaqadeen ki ek azeem jamiat ke saath tum par galba hasil karlega, tumhari ye shaan o shaukat harf e galat ki tarah mitt jayegi aur woh tumhare saath jo chahenge karrenge, koi aur raye do.
Do You Know:- *Mukashifatul quloob* *Zina aur Sood ka aam hojana Azab e Ilahi ko dawat deta hai :-*
Abu Jahal ne kaha mere zehen mein ek aisi raye hai jo kisi ne bhi nahi di, woh ye hai ke har qabile se ek sahib e hasab o nasab bahaddur liya jaye aur ye sab milkar yakbargi Mohammad ﷺ par talwarow se bhar purr waar karein aur inko qatal kardein, humari bhi jaan choot jayegi aur Banu Abd Manaaf tamam qabail ka muqabla karne se tow rahe woh sirf diyat lelenge jaise tamam qabail bahum ada kardenge, shaykh najdi mala’oon iss raye par pharak utha aur kehne laga ab hui baat! Chunache muttafiqa tor par ye raye maan li gayi aur sab log gharow ko chal diye, idhar Hazrat e Jibrael alaihis salam Huzoor ﷺ ki khidmat mein hazir hue aur arz ki aye Allah ke Nabi ﷺ! Aj iss bistar par istirahat na farmaein jis par Ap ﷺ hamesha aaram farmate hain. Jab raat hui tow Quraysh ke jawan Kashana e Nabuwat ke gird mand lane lage aur iss waqt ka intezar karne lage ke Ap ﷺ baher aaein aur woh yekbargi humla kardein, Huzoor ﷺ ne Hazrat Ali razi Allah tala anhu ko apne bistar par iss shab sulaya aur inn par sabz rang ki ek chadar daldi jo baadme Hazrat Ali radi Allah tala anhu jumma aur eidain ke mowqe par odha karte the.
“Your writing style is engaging and clear, love it!”
“Well explained, made the topic much easier to understand!”