“MAY ROZE SE HU”, “MAY ROZE SE HU”.
RAMZAN MUBARAK RAMZAN MUBARAK RAMZAN MUBARAK
Bismillahir Rahmanir Rahim.
Abu hurrairah RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ki RasoolAllah Sallallahu Alayhi w aalihi wa Sallam ne farmaya ki:
“Allah azja-wajal farmate he ki ibne aadam ka har amal Rozo ke alawa usike liye he or Roza khaas mere liye he, or me hi Rozo ka badla dunga, or Roza dhaal he, to jab tum me se koi Roza rakhe to woh us din naa be-hudaa guftugu kare, or naa koi fahash kaam kare, or agar koi usey gali de ya jhagde, to usey chahiye ki woh aage se keh de ki “MAY ROZE SE HU”, “MAY ROZE SE HU”.
Kasam he us za’at ki jiske kabze kudarat me Muhammed sallallahu alayhi w aalihi wasallam ki jaan he, ki Roza rakhne wale ke Munh ki Boo Allah ke yaha kayamat ke din Mushq ki khushboo se jayada khushbu-daar hogi. Roza rakhne wale ke liye, do khushiya he, jiski wajah se woh khush hoga, Jab Roza iftaar karta he, to woh apni iss iftaari se khush hota he, jab woh apne Rab se milega, to woh apne Roza se khush hoga.”