Mukashifatul quloob*
*Hazrat Ibrahim Adham aur Hazrat Shaqeeq Balkhi ke darmiyan sawal jawab* :-
Hazrat e Ibrahim bin Adham aur Hazrat e Shaqeeq Balkhi rahmatullah tala ki makkah mu’azama mein mulaqaat hui, Ibrahim ne pucha aye Shaqeeq Balkhi! Tum ne ye buland martaba kaise paya? Janab e Shaqeeq ne jawab diya ke ek martaba mera ek bayaban se guzar hua, wahan mai ne ek aisa parindah pada dekha jiske dono bazu tuth gaye the. Mere dil mein ye waswasa paida hua ke dekhun tow sahi usey kaise rizq milta hai, mai wahan baith gaya, kuch derr baad ek parindah aya jiski chonch mein ek tiddi thi aur isne woh parinde ke munh mein dal diya, mai ne dil mein soncha ke woh Raziq e Kayenaat ek parinde ke zariye dusre parinde ka rizq pohancha deta hai, mera rizq bhi mujhe har halat mein pohancha sakta hai lehaza mai ne sab karobar chodiye aur ibadat mein masroof hogaya.
Janab Ibrahim bin Adham rahmatullah alay ne kaha aye Shaqeeq! Tum ne majboor o mazoor parinda banna pasand kiya aur tandrust parindah banna pasand na kiya ke tum ko muqaam buland naseeb hota, kiya tum ne ye Farman e Nabawi ﷺ nahi suna ke upar wala haath niche wale haath se behtar hai, momin tow hamesha buland darjaat ki tamanna karta hai taake woh abrar ki saf mein jaga pata hai, janab Shaqeeq rahmatullah alay ne ye sunte hi janab Ibrahim rahmatullah alay ke haatow ko chuma aur kaha beshak ap mere ustaad hain.
Note: Aapko Kya Samajh main aaya is waqie se Zaroor Bataiye
Jo bhi sahi answer dainge unko 500 Rs Gift diya jaiga.