Mukashifatul quloob*
*Zakaat aur Bukhal**Huzoor ﷺ ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :-
Farman e Ilahi hai, jo log Allah tala ke ata karda maal mein bukhal karte hain wo usey apne liye behtar na samjhein balke ye inke liye musibat hai, anqareeb bukhal karda maal se qayamat ke din inko towq pehnaye jayenge.
Farman e Ilahi hai, inn mushrikeen ke liye halakat hai jo zakaat nahi ada karte. Iss Ayat e Kareem mein Allah tala ne Zakaat na dene walo ko mushrik kaha hai.
Farman e Nabawi ﷺ hai, jo shaks apne maal ki Zakaat ada nahi karta, qayamat ke din iska maal ganje saanp ki shakal mein iski gardan mein jhool raha hoga.
*Huzoor ﷺ ne panch baatow se Allah ki panah mangi* :-
Farman e Nabawi ﷺ hai aye giroh muhajireen! Panch balaein hain jin ke mutalliq mai Allah tala se tumhare liye panah mangta hun, jab kisi qowm mein khullam khulla badkareeyan hoti hain tow Allah tala inn par aise makroohaat nazil karta hai jo pehle kisi par nazil nahi hote, jab koi qowm naam tol mein kami karti hai tow inn par tangdasti, qahat saali aur zalim haakim musallat kardiya jata hai, jab koi qowm apne maalo ki zakaat nahi deti, inhe khushk saali gherr leti hai, Agar zameen par chupae na hon tow kabhi inn par baarish na barse, jab koi qowm Allah aur uske Rasool ke ahad ko tod deti hai tow iss par iske dushman musallat hojate hain jo inse inka maal o daulat cheen lete hain aur jis qowm ke farman rawa Kitaab Allah se faesla nahi karte, inke dilow mein ek dusre se khof paida hojata hai.
Farman e Nabawi ﷺ hai, Allah tala bukhal ki zindagi aur sakhi ki maut ko napasand farmata hai.
Farman e Nabawi ﷺ do adatein momin mein jama nahi hosaktin. Farman e Nabawi ﷺ hai, Allah tala ne qasm khai ke bukhal ko jannat mein nahi bheje ga. Farman e Nabawi ﷺ hai, Bukhal se bacho! Jis qowm mein bukhal ajata hai wo log zakaat nahi dete, silah rehmi nahi karte aur na haq khoon reziyan karte hain.