*Mukashifatul quloob*Bayhaqi ki riwayat hai ke sood ke kuch upar Sattar darwaze hain
Bayhaqi ki riwayat hai ke sood ke kuch upar sattar darwaze hain, uska sab se kumtar gunah halat e islam mein maa se zina karne ke barabar hai aur sood ka ek dirham tirpan martaba zina karne se zyadah bura hai. Tabrani ne Awsat mein Umaro bin Rashid radi Allah anhu se riwayat ki hai ke sood ke bahattar darwaze hain, inn mein se adna darwazah(gunah) admi ka apni maa se zina karne ke barabar hai aur sab se bura sood ye hai ke insaan apne bhai ke maal ki taraf haath lamba kare (sood mein musalman bhai ka maal le)
Ibn e Majah aur Bayhaqi ne Abi Ma’shar se, inhone Abu Saeed Al Muqbari se aur inhone Hazrat e Abu Huraira radi Allah anhu se riwayat ki hai ke Huzoor ﷺ ne farmaya, sood mein sattar gunah hain, sab se adna gunah ye hai ke jaise admi apni maa se nikah karle.