*Mukashifatul quloob*
Mazammat e Hawa e Nafs o Wasf e Zuhd
Allah tala irshad farmata hai :-
اَرَأَيْتَ مَنِ اتَّخَذَ اِلٰهَهٗ هَوَاهٗ وَاَضَلَّهُ اللهُ علىٰ عِلْمٍ
Kya tu ne isko nahi dekha ke jisne apni khawhesh ko mabood banaliya hai aur usey Allah ne ilm par gumrah banadiya hai. Hazrat e Ibn e Abbas radi Allah anhu ka qowl hai ke isse muraad woh kafir hai jisne Allah tala ki janib se ata kardah kisi hidayat aur daleel ke baghair khawheshaat ko apna deen banaliya hai. Iska matlab ye hai ke woh khawheshaat e nafsani ka paerwi hai aur woh har aisa kaam karne par tayyar hojata hai jiski taraf iski khawheshaat isharah karti hain aur Allah tala ki kitaab ke mutabiq amal nahi karta goya ke woh apni khawheshaat ki ibadat karta hai, farman e Ilahi hai :-
وَلَاتَتَّبِعْ اَهْوَاءَ هُمْ
Aur inki khawheshaat ki ibteda na kar aur irshad Rabbani hai “aur khawheshaat ki paerwi na kar, ye tujhe Allah ke raaste se hata degi”
BUY BOOKS BEST DEALS