*Mukashifatul quloob*Inn do mein se konsi baat teri khawhesh ke qareeb ho tu usi ko chorde
Ek aarif ka qowl hai ke jab do baatein tere saamne hon aur tujhe pata na chale ke inn mein se konsi baat umdah hogi tow ye dekh kar inn do mein se konsi baat teri khawhesh ke qareeb ho tu usi ko chorde aur dusri ko pae takmeel tak pohancha. Usi nukte ki taraf isharah karte hue Imam e Shafai radi Allahu anhu ne farmaya hai :-
اِذَا حَالَ اَمْرُکَ فِى مَعْنَيَيْنِ
وَلَمْ تَدْرِ حَيْثُ الْخَطَا وَالصَّوَابُ
فَخَالِفْ هَوَاکَ فَاِنَّ الْهَوىٰ
يَقُوْ دُ النُّفُوسَ اِلىٰ مَايُعَابٗ
1. Jab tera kaam do baatow ke darmiyan hael ho aur tujhe inn mein se ache aur burey ki khabar na lage.
2. Tu iss baat ke mutabiq kaam kar jo teri khawhesh ke mukhalif ho kyunke khawheshaat insaan ko bure kaamo’n ki taraf lejati hain.