ALLAHTALA NE ” TALAAQ ” KO SAQT NA PASAND FARMAYA HAI
Yeh Kaon sa Daur Hai MUSLIM Aurtain Apne Ghar Ki Batain Bahar Phaila Rahi Hain
Woh Bhi Na Mahram ,Ghair Mazhab Ke Dar Par Insaaf Mangrahi Hain KYON Inko Allahtala Par Bharosa Nahi Hai , Kya Yeh Allahtala Ko Jaante Bhi Hain
Dunya Ke Rishtaon Se Itni Mohabbat Hogai , Yeh Jhoote Rishtaon Ke Liye ALLAH Ke Insaaf Ko Bhool Gae , Allahtala Apne Bandaon Ke Saat Hui “RAI” Barabar Na Insafi Ka Badla Bhi Lega
Usse BADA MADADGAR KOI NAHI ,Koi Mulk , Koi Hukumat ,Koi Minister , Koi King Kuch Nahi Karsakte ,SIRF TUMHARA TAMASHA , Tumhare Mazhab Main Buraiyan Nikalne Ki Koshish Karainge ,Musalman MARD AUR AURTAON Ko Apas Main Lada Kar ,Ek Ghar Ki Ladai Ko Char Ghar Main Pailainge SIRF Apne Mafad Ke Liye ,Kya Tum Samajhte ho Inko Tumse Hamdardi Hai , Kaise Kis Rishte Se Kyon Hogi , Aare Is Daur Main To Khoon Ke Rishtaon Main Sachchai Nahi , Tum Kisse Umeed Lagarahi Ho ,Yeh To Musalman Aurtaon Ko QABRAON Se Nikalne Wale ” VEER BAHADUR ” Log Hain , Zindaon Par Zulm Karke Dil Nahi Bhara Ab MURDAON Par Nazar Hai ,Har Mazhab Yeh Kahta Hai
” JO JAISA KAREGA WOH WAISA BHAREGA”
ALLAHTALA FARMATA HAI SABAR KARO ,ISKA AJAR O SAWAB ALLAHTALA
TUMHAIN ZAROOR DEGA . “TO AAE MOMIN BAHNO” SABAR KARO JO TUM PAR ZULM KAREGA ALLAHTALA USSE SAZA ZAROOR DEGA .ISLIYE KE YEH ALLAHTALA KA FARMAAN HAI
APNE ISLAM PAR ” APNI WAJAH SE” NAPAAK DIL NAPAAK ZUBAN WALAON KO UNGLI UTHANE KA MAOQA NA DAIN , SAB KUCH QATAM HOJAIGA , YEH DUNYA FAANI HAI ISKE LIYE APNI AAQIRAT BARBAD NA KARAIN .
WOH AADMI JO APNI JHOOTI AKAD MAIN ,DUNYA KI HIRS O HAWAS MAIN YEH BHOOL JATA HAI KE ALLAHTALA NE ” TALAAQ ” KO SAQT NA PASAND FARMAYA HAI , USNE ALLAHTALA KE FARMAAN KO BHOOL GAYA ” TO USKE AAGE AAM AADMI KYA CHEEZ HAI .
Sab Se Badi Ghalti , Ghaflat , Gunah ,Musalmanaon Ke Ghar Se Deeni Mahaol Khatam Hogaya Hai
Deeni Batain , Deeni Taleem Ko Musalman Ghareebaon ki Nishani Samajh Baithe hain
TV Serials , Video Games , Mobile games , Moovies , Be Hayai Be Pardgi , Yeh SAB Kayam karke Musalman Samajhte hain Hum Bahot POSH Hogae .