Mukashifatul quloob*Isi liye Huzoor ﷺ inn lafaz mein Allah tala se dua manga karte
*Isi liye Huzoor ﷺ inn lafaz mein Allah tala se dua manga karte :-
للّٰهُم انى اعُوذُ بکَّ مِنْ هَوىً مُطَاعٍ وَّ شُحٍ مُتَّبعٍ
Aye Allah mai tujh se panah mangta hun iss khawhesh se jiski ita’at ki jati hai aur iss bukhal se jiska iteba kiya jata hai. Aur Aap ﷺ ne farmaya ke teen baatein insaan ke liye muhallik hain, ita’at kardah khawhesh, iteba kardah bukhal aur insaan ka apne ap ko bahot bada samjhna, ye isliye hai ke har gunah ka ba’is nafsani khawheshaat hain aur yehi insaan ko jahannam ki taraf lejati hain. Allah tala hume inse panah de, ameen.
***************************************”**”
Ek aarif ka qowl hai ke jab do baatein tere saamne hon aur tujhe pata na chale ke inn mein se konsi baat umdah hogi tow ye dekh kar inn do mein se konsi baat teri khawhesh ke qareeb ho tu usi ko chorde aur dusri ko pae takmeel tak pohancha. Usi nukte ki taraf isharah karte hue Imam e Shafai radi Allahu anhu ne farmaya hai :-
اِذَا حَالَ اَمْرُکَ فِى مَعْنَيَيْنِ
وَلَمْ تَدْرِ حَيْثُ الْخَطَا وَالصَّوَابُ
فَخَالِفْ هَوَاکَ فَاِنَّ الْهَوىٰ
يَقُوْ دُ النُّفُوسَ اِلىٰ مَايُعَابٗ
1. Jab tera kaam do baatow ke darmiyan hael ho aur tujhe inn mein se ache aur burey ki khabar na lage.
2. Tu iss baat ke mutabiq kaam kar jo teri khawhesh ke mukhalif ho kyunke khawheshaat insaan ko bure kaamo’n ki taraf lejati hain.